Ram banwaas se jab laut ke ghar mein aaye,
Yaad jangal bahut  aaya jo nagar mein aaye,
Raqsse deewangee aangan mein jo dekha hoga,
6  december ko Shri Ram ne socha hoga,
Itne deewane kahan se mere ghar  mein aaye?
Jagmagate thhe jahan Ram key qadmon ke nishaan,
Piyaar kee  kahkashan leti thi angdayee jahan,
Mod nafrat ke usee rah guzar mein  aaye,
Dharam kya unka hae, kya zaat hae, yeh janta kaun?
Ghar na  jalta tau unhe raat mein pehchanta kaun,
Ghar jalane ko mera, log jo  ghar mein aaye,
Shakahari hae mere dost tumahara khanjar.
Hae mere sar ki khata zakhm jo sar mein aaye,
Paun Sarjoo mein aabhi Ram ne dhoye bhee na thhe
Ke nazar aaye wahan khoon ke gehre dhabbe,
Paun dhoye bina Sarjoo ke kinare se uthe,
Ram yeh kehte hue aapne dwaare se uthe,
Rajdhani kee fiza aayee nahin raas mujhe,
6 December ko mila doosra banwaas mujhe.
A rough translation:
That evening when Lord Ram returned to his home
He remembered the  jungles where he had spent his years of exile
When he must have seen  the dance of madness that December 6
It must have crossed his mind
From  where have so many demented ones landed on my home
Wherever he had stepped and his footprints had shone
The river  waters where thousands of stars of love meandered
Instead now took  turns of violence and hatred
What is their religion, what is their  caste, who knows?
Had the house not burnt, who would have known the  faces
Of those who came to burn my house
Your sword, my friend, is  vegetarian.
You threw towards Babar all the stones
It is my head’s fault that,  instead, it bleeds
Lord Ram had not even washed his feet in the  Saryu waters
When he saw deep blots of blood.
Getting up without  washing his feet in the waters
Lord Ram left the precincts of his own  residence, bemoaning,
The state of my own capital city no longer  suits me
This December 6, I have been condemned to a second exile
 

1 comment:
bahut khubb..
Post a Comment